Jammu & Kashmir ke RS Pura sector mein Pakistan ki taraf se ki gayi firing mein shaheed hue Rifleman Sunil Kumar ka पार्थिव शरीर unke त्रेवा गांव laaya gaya. Gaon mein शोक का माहौल tha — har aankh nam thi aur har dil garv se bhara hua.
![]() |
25 saal ke Sunil Kumar, Jammu & Kashmir Light Infantry (4-JAKLI) Regiment ke jawaan the. Unki tainati forward post par thi, jahan unhone desh ki raksha karte hue apna balidan diya. Firing ke dauran wo gambhir roop se ghaayal ho gaye the aur hospital mein unhone apni aakhri saans li.
त्रेवा gaon ki galiyon mein jab unka antim yatra nikla, to har taraf sirf ek hi awaaz gunj rahi thi —
"Shaheed Sunil Kumar Amar Rahein!"
Chhote se gaon ne ek mahaan veer putra ko khoya, lekin uski shaurya kahaani har dil mein hamesha zinda rahegi.
NSA, Army officers aur local administration ne bhi unko salute kiya. Unke parivaar walon ne kaha, “Sunil hamesha desh ke liye jeena aur marna chahta tha… aur usne apna vaada nibhaya.”
Ye sirf ek antim yatra nahi thi, balki ek veer ko desh ki taraf se diya gaya salute tha.
Bharat maa ka ek aur laal, amar ho gaya.
Shaheed Sunil Kumar, RS Pura firing, Tréwa village, Pakistan ceasefire violation, Indian Army, 4-JAKLI, martyrdom, patriotic soldier, Jammu Kashmir border, final rites, emotional farewell, Rifleman Sunil, Bharat ke veer, Amar Rahein