Ek shocking cyber fraud ka case samne aaya hai Dehradun se…
Uttarakhand ke ek prasiddh hotel ke Finance aur Accounts Department ke General Manager, yaani GM, se cyber criminals ne lagbhag 3 crore rupaye ki thagi kar li hai.
Iss ghatna ki complaint GM ne khud Cyber Thane mein darj karwai hai. Police ne case register karke jaanch shuru kar di hai.
![]() |
Message bhejne wale ne khud ko company ka MD bataya aur kaha ki yeh uska naya number hai. DP par MD ki photo hone ki wajah se GM ko koi shak nahi hua.
Fake MD ne bataya ki ek nayi company ke saath ek project start ho raha hai, jiske liye 1.95 crore rupaye ka payment karna hai. Usne kaha ki wo abhi meeting mein hai aur yeh payment local project ke liye zaroori hai.
Phir usne "Shyam Trading Company" ke naam se IndusInd Bank, Kolkata ke ek account mein 1.95 crore rupaye transfer karwa liye.
Baad mein usne 2 crore rupaye contract security ke liye maange, lekin GM ne bataya ki hotel ke account mein utni rakam nahi hai, sirf 1.25 crore hi transfer kiye ja sakte hain. Uske baad GM ne wahi amount usi account mein transfer kar diya.
Paisa bhejne ke turant baad accused ne apna phone bandh kar diya.
Jab GM ne asli MD ke purane number par call kiya to pata chala ki MD ne aisa koi nirdesh diya hi nahi tha. Tab jaake GM ko samajh aaya ki wo ek bade cyber fraud ka shikaar ho gaya hai.
CO Ankush Mishra ne bataya ki Tejpal Rawat ki complaint ke basis par unknown logon ke khilaf FIR darj kar li gayi hai, aur jinki accounts mein paisa gaya hai unki bhi jaanch ki ja rahi hai.
Dehradun Cyber Crime, Hotel GM Fraud Case, WhatsApp Scam India, Cyber Fraud Dehradun, Fake MD Scam, Uttarakhand News 2025, Crore Fraud Case, Cyber Crime Real Story, Hindi, News Voice Over, Financial Scam in Hotel