Agle Terror Attack ko 'Act of War' Maana Jaayega: Bharat Sarkar ka Sakht Faisla

Bharat Sarkar ne ek bada aur sakht decision liya hai, ab agar koi bhi agla aatankwadi hamla hota hai, toh use seedhe-seedhe “Act of War” maana jaayega. Aur uska jawab bhi usi level par diya jaayega.

Yeh kadam 22 April 2025 ko Pahalgam mein hue terror attack ke baad liya gaya hai, jismein 26 logon ki jaan gayi thi, jinmein zyadatar tourist the. Uske baad India ne “Operation Sindoor” launch kiya, jismein Pakistan aur PoK ke andar 9 terrorist launch pads par missile strikes ki gayi.

 
Bharat ne is operation ko "focused, measured aur non-escalatory" bataya hai — matlab sirf aatankwadi tanzeemon ko target kiya gaya, kisi military base ya civilian area ko nahi.

Lekin sabse badi baat ye hai ki 10 May 2025 ko top government sources ne clear kar diya:

"Agle kisi bhi terror attack ko ab hum direct war jaisa treat karenge, aur jawab bhi ussi tarah diya jaayega."

Ye statement India ki naye counter-terrorism policy ko darshata hai, jismein ab sirf warnings nahi balki direct military action liya jaayega.

International Reactions kya keh rahe hain?

Duniya bhar ke leaders -America, China, G7 nations, ne is tension par concern dikhaya hai aur dono deshon se shaanti banaye rakhne ki appeal ki hai. Lekin ground par situation kaafi tense hai. Civilians ko border areas se evacuate kiya gaya hai, flights cancel ho rahi hain aur log uncertainty mein jee rahe hain.

Yeh Decision Kyun Important Hai?

Bharat ne pehli baar openly yeh kaha hai ki terrorism ko war ka status diya jaayega.

Iska matlab hai ki ab Bharat passive nahi rahega, balki har terror attack ka jawab missiles se diya ja sakta hai.

Yeh policy Pakistan ke liye bhi ek direct warning hai.

Bharat Pakistan Tension, Terrorism Equals War, Operation Sindoor, Pahalgam Attack, Bharat Sarkar ka Faisla, Indian Defence Policy 2025, Cross Border Terror, International Reactions India, Act of War India

Post a Comment

Previous Post Next Post