13 May 2025 ko Punjab ke Amritsar district ne ek aur baar woh manzar dekha jo har insaan ke zameer ko jakhmi karta hai. Majitha block ke paanch gaav – Bhangaali, Paatalpuri, Marari Kalan, Tharewal aur Talwandi Ghumman – me kuch logon ne aisi sharab ka sewan kiya jo unke liye maut ka jaam ban gayi. Ab tak 17 log apni jaan ganwa chuke hain aur kai log hospital me zindagi aur maut ke beech jujh rahe hain.
Zaher Ki Shuruaat: Ek Saazish Ya Vyavastha Ki Nakaami?
Investigation ke dauraan yeh samne aaya hai ki lagbhag 50 litre methanol – ek industrial chemical jo insani sharir ke liye अति विषैली hai usse pani ke saath milakar 120 litre sharab banayi gayi thi. Yeh sharab bina kisi quality control ke, aam logo ke beech bechi gayi. Sirf paisa kamaane ki lalach ne 17 parivaron ko ujhaad diya.
Rajneeti Aur Prashasan Ka Tika-Tippani Khel
Police Ki Karwahi: Ab Shabdon Se Kaam Nahi Chalega
Punjab Police ne mukhya aaropi Prabhjeet Singh ko giraftar kar liya hai, jiske paas se poison-mix sharab banane ka raw material bhi mila hai. DSP Amolak Singh aur SHO Avtar Singh ko bhi neglect aur failure ke grounds par suspend kiya gaya hai. Lekin kya yeh suspension aur arrests system ko sudharne ke liye kaafi hain?
Aage Ka Rasta: Niyantran, Sakhti Aur Jan Chetna
Pichhle kuch saalon me Punjab ne kai baar hooch tragedies dekhi hain. Yeh sirf ek kanuni issue nahi hai, balki samajik aur manavik sankat bhi hai. Jab tak grassroots level par illegal liquor mafia ke khilaaf zero tolerance approach nahi liya jaata, tab tak yeh zaher logon ki ragon me daudta rahega.
Aant Mein: Ek Sawal Sabke Liye
Har bar tragedy ke baad kuch headlines banti hain, kuch log giraftar hote hain, aur fir sab kuch waise hi chalne lagta hai. Lekin is baar, kya Punjab badlega? Kya is baar sirf sharab nahi, system bhi sudhrega?
Yeh sirf ek report nahi, ek Question hai – jiska jawab har Punjab wasi ko milkar dena hoga.
Amritsar hooch tragedy, Punjab poisonous liquor, Majitha village deaths, illegal liquor in Punjab, methanol alcohol deaths, Bhagwant Mann response, Punjab police action, Amritsar news 13 May